Durood-e-Ibrahim Ka Ta’aruf
Darude-E-Ibrahim ek khas dua hai jo har Musalman namaz mein padhta hai. Darude Ibrahim attahiyat ke baad padhte hain. Yeh dua Ibrahim Alehi Salam ki hai aur unke aale ke liye, aur Allah ke Rasool Mohammad Sallallahu Alehi Wasallam aur unke aale ke liye hai. Allah Subhanahu Wa Ta’ala se barkat aur rehmat ki guzarish karti hai. Darude Ibrahim ko namaz mein tashahhud mein padhte hain. Ye Rasoolullah Sallallahu Alehi Wasallam ne apni ummat ko sikhaya hai. Darude Ibrahim se rohani majbooti hoti hai. Darude Ibrahim padhne se Allah ki rehmat aur barkat hasil hoti hai. Sabhi Musalmanon ko ye dua apni zindagi mein shamil karni chahiye.
Durood-e-Ibrahim Ki Fazilat
Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki Qayamat ke din mujhe logo mein sabse zyada kareeb wo log milenge jo mujh par sabse zyada darood bhejte hain. Imam Tirmidhi irshad farmate hain ki: 1. Ye hadith Hasan Gharib hai. 2. Allah ke Rasool Sallallahu Alehi Wasallam irshad farmate hain ki jo mujh par ek darood bhejta hai, Allah Subhanahu Wa Ta’ala us par uske badle 10 darood bhejte hain. Aur iske liye 10 nekiyan likhi jati hai
Durood-e-Ibrahim Ki Arabic Aur Roman Urdu mein tarjuma
Allahumma salli ‘ala Muhammadin wa ‘ala ali Muhammadin kama sallayta ‘ala Ibrahim wa ‘ala ali Ibrahim, innaka Hamidun Majid. Allahumma barik ‘ala Muhammadin wa ‘ala ali Muhammadin kama barakta ‘ala Ibrahim wa ‘ala ali Ibrahim, innaka Hamidun Majid.
Tarjuma Allah muhammad, aur muhammad ke aale bet per darood bheja. Jaisa tune ibrahim aur ibrahim ke ale bet per darood bheja. Beshak tu hamdo shifa ka malik hai. Aur azim hai. Allah muhammad aut muhammad ke ale bet par barkat bheja jaise ke tune ibrahim aur ibrahim ke ale bet per barkat bheja. Beshak tu hamdo shifa ka malik hai aur azim hai
Durood-e-Ibrahim Ki Ahmiyat Namaz Mein
Darood e ibrahim namaz me padhte hai. Ye tashahhud ki halat me padhte hai.ye rasool allah sallallahu alehi wasallam ne apni ummat ko sikhaya.to hame ye chahiye ki hum rasool allah sallahu alehi wasallam ki ummat me se hai to ham unke hukum ko mane. Ye dua attahiyat ki bad padhte hai. Agar ye dua hum dua ke waqt padhte hai to hamari dua kabool ho jati hai.ye dua padhne se allah subhanu tala ki rehmat aur barkat hasil hoti hai.
Durood-E-Ibrahim Padhne Se Barkat
Darood e ibrahim, Yeh dua ibrahim alehi salam ki hai. Aur unke aale ke liye, aur Allah ke rasool Muhammad sallallahu alaihi wasallam ki hai aur unke ke aale ke liye hai allah subhanu tala se barkat aur rehmat ki guzarish karti hai. Darood e ibrahim se rohani majbuti hoti hai. Darood e ibrahim padhne se Allah ki rehmat aur barkat hasil hoti hai. Sabhi muslman ko ye dua apnii zindagi me shamil karna chahiye..
Conclusion
Darood-e-Ibrahim ek aham dua hai jo har Musalman ko apni zindagi ka hissa banana chahiye, aur is dua ki fazilat aur tafseelat humari website Islamic Jankari par maujood hain. Is dua ka padhna hamari ibadat ka ek zaroori hissa hai, jo Allah ki rehmat aur barkat ko hasil karne ka zariya banta hai. Rasool Allah Sallallahu Alehi Wasallam ne apni ummat ko ye dua sikhayi hai, is liye hame ye chahiye ke hum is dua ko apni zindagi mein shamil karein. Is dua ko padhne ke baad dua karni chahiye, kyunki isse dua kabool hoti hai. Islamic Jankari par hum ye samjhte hain ke iska padhna roohani tor par hamare imaan ko mazboot banata hai.
Darood bhejne se na sirf hamari dua kabool hoti hai, balki Allah Subhana Tala hum par apni rehmat barsata hai. Har Musalman ko chahiye ke wo iss dua ko apni namaz aur duaon mein shamil kare. Is dua ko tashahhud mein padhte hain attahiyat ke baad. Allah ke Rasool Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad farmaya ki jo mujh par darood bhejte hain, toh Allah uspar 10 darood bhejte hain aur 10 nekiyan likhi jati hain.